Home Others Meditation Tips In Hindi | Everything About Meditation

Meditation Tips In Hindi | Everything About Meditation

9 min read
0
0
118
Meditation Tips In Hindi | Everything About Meditation
Meditation Tips In Hindi Everything About Meditation tips wallpapersHello friends…, we are back again with a new and interesting topic. Jyada der tak padhne aur yaad karne ki baat ho to kuch cheeje common hoti hai jaise regular breaks, healthy food, meditation, exercise. mostly articles me humne bhi aapko meditation karen ki salah di hai. Aaj hum Meditation ke bare me padhenge. Lekin usse phele kuch question hai. Kya aap ye jante hai ki Meditation hota kya hai? Meditation insaan kyu karta hai? Or meditation karne ke kya fayde hai? Agar aap ye sab nahi jante to aaj hum aapko yahi btane ke liye aaye hai. Dhyan kya hai??? Apne dhyan ka dhyan rakhna dhyan hai! Bas vahi dhyan hai, jab maa kehti hai, puppa, guru, teacher kehte hai “dhyan kaha hai tumhara”? vahi hai dhyan! Inn sab me shayad guru ji ko hi dhyan rehta tha ki vo kya puch rahe hai, lekin hum bhi bina samjhe hue apne dhyan ko sambhal lete the! Uss tarah laga lete the jahan vo keh rhe hote the. Dhyan sabke paas hai. Lekin dhyan ka dhyan sabke paas nahi.
Everything About Meditation
So here we are sharing with you that what is meditation? Jisse hum DHYAN, SMADHI etc. ke naam se bhi bulate hai. But iska actual me kya meaning hota hai vo aaj hum aapko apne blog ACHE QUOTES me btane jaa rahe hai. Chaliye padhte hai aage…
Meditation Kya Hai?
Meditation: Transforming the Mind, mtlab mann ke badlne se hai. According to Buddist, meditation practice ek techniques hai jo humare concentration, clarity, emotional positivity ko encourage or develop karti hai. Iss meditation ke practice ke sath engage hone se aap apne mind ke patterns or habit ko learn karte hai. Meditation se life ki understanding me hum lead karte hai. So guys Meditation mann ko shant karna hai or dheere dheere apne ander ki shakti ko matlab states of mind ko or high le jana hai.
Meditation Kaise Karte Hai?
Ab badhte hai meditation kaise karte hai ki aur. Par yaad rahe, meditation me jana ek majedar kaam hona chahiye naa ki ek torture(yatna) dene vala kaam. Jaise aapne kabhi sunna hoga, dono eyebrows ke bich dhyan lagana chahiye lekin thodi der baad hi isse headache hone lagta hai or hum kuch minute baad bore feel karne lag jaate hai. Yahan hum apko dhyan karne ke kuch steps btane jaa rahe hai:-
Ek comfortable or shant jagah ko choose kare, jo noise vali jagah se door ho or jahan aap aaram se beth sake jaise park, lake ke paas etc. Aap legs fold karke ya chair par beth kar dhyan laga sakte hai.Eyes close ho or ear me earplug lagaye. Ye kissi bhi medical store se orange colour me mil jaega, na milne par cotton ka bhi use kar sakte hai.Dheere dheere 10 baar lambi saans le, aaram se or gehri (deep) saans le or ussi tarah aaram se saans chore. Saans chorte time 10 se 1 tak ulti ginti gine, yaad rahe ginti sirf saans chorte time gine, lete time nahi.Apne ander ki aawaj par dhyan de or mind me chal rahi aawajo ko sirf sune, but usse analysis kabhi bhi na kare, na hi sunne ki chahat kare, vo khud sunnai degi or sabse important baat mann shant rakhe.Apni soch ko bhatkane na de agar kabhi soch bhatkati hai, to pareshan na ho, pyar se smile kare or vapis apni or le aaiye. Vaise bhi ek baar apko mind me chal rahi aawaze sunai dene lagegi to khud dhyan vapis vahi aa jayega or aapka dimag bahri baato ko sochna band kar dega.
Meditation Karne Se Kya Fayde hote Hai?
Meditation karne se bahut fayde hote hai, isse apke body ko acha shape milega, achi sex life rehti hai, mind hamesha fresh feel karega. But doston yahi tabhi possible hai jab aap isse daily use me karoge. Ye physically or mentally dono ke liye important hai. So chaliye padhte hai iske fayde:-
Meditation karne se humara bhatkta mann bhagwaan ki aur lag jata hai.Dhyan lagane se aapko khud ko brittleness feelhoga par puri tarah dhyan me lagane ke baad apko pure yoga ki prapti hogi.Dhyan apko bhagwaan se aur prakriti se pyaar karna sikhata hai.Daily meditation karne se aap healthy, fresh, calm and happy reh sakte ho.Meditation se body ek dum healthy rahti hai or body ke ander ke system (internal system)apna kaam easily karte hai.Dhyan se humare mind ke stress, tiredness, anxiety ko dur rakha jaa sakta hai.Dhyan lagane se aapko mann ko kabu karne ki, kissi bhi mushkil time me sahi decision karne ki or life me sukh dukh ko sahne ki aadat pad jayegi.Sabse important meditation se hume potivity milti hai, sahi galat me farak pata chalata hai.
Itne sare fayade hone ke baad to har koi karna chahega. To aap bhi aaj se hi start kr de.
So guys here we shared everything about meditation with you. We hope you like this article then do not forget to share and like this article. Ye article apne dosto or family me bhi share jaroor kare kyuki doston life me meditation ka hona bahut jaroori hai. To get more information about other article then stay tuned with us. Thankx for visiting our site and be happy.
Load More Related Articles
Load More By amitgupta
  • Krna Fakiri Phir Kya Dil Giri – Lyrics In Hindi

    **** करना फकीरी फिर क्या दिलगिरी सदा मगन में रहना जी कोई दिन हाथी न कोई दिन घोडा कोई दिन प…
  • 101 of the Best Classic Hindi Films

    Bollywood This article features 101 classic Bollywood movies that I know we all love. Ther…
  • अमर सूक्तियां-Immortals Quotes

    अमर सूक्तियां संसार के अनेकों महापुरुषों ने अनेक महावचन कहे हैं. कुछ मैं प्रस्तुत कर रहा ह…
Load More In Others

Leave a Reply

Check Also

What is Account Master & How to Create Modify and Delete

What is Account Master & How to Create Modify and Delete Administration > Masters &…