Meditation ek takneek
Meditation ek aesi takneek hai jisme aatmik shanti pane ke liye dhyan lagaya jata hai. Iska niyamit abhyas karne se kai fayde milte hai. Yeh aapke mastiksh ko shant aur sthir rakhne mai madad karti hai. Iske liye aapko keval apni aankhe band karke baithna hai, aur aapko dhire dhire gehra anubhav hoga.
Meditation ya dhyan hame na keval mansik shanti pradan karti hai. Balki ise karne se allergy, asthma, cancer, thakan aur bhi kai anginat samasyao mai fayda milta hai. Yaha tak ki kai manovegyanik(psychological) bimariyo se rahat dilane mai bhi meditation mahatvapurn bhumika nibhata hai.
Aapne apne aas pas kai logo ko meditation karte dekha hoga. Par jab aap khud ise karte hai to aapko yeh boring mehsus hota hai. Aapka dhayan apni aaspas ki chize, ya fir aap chuttiyo mai kya karenge, aesi chizo mai bhatakne lagta hai. Aapne hamesha suna hoga ki practice makes man perfect, to bus yun samajh lijiye jab aap meditation ko roj-roj karna shuru kar denge. To aapko khud ba khud dhyan lagana aa jayega. Vaise to meditation karna anivarya nahi hai. Lekin iske itne fayde hai ki ham aapko ise karne ki hi salah denge. Aaiye jane Benefits of Meditation in Hindi.
Meditation Benefits: Dhyan Ke Swasth Labh
ताजातरीन सक्सेस और
सदाबहार कहानियों के लिए हमें FB पर Like करें