Home TOP-10 10 things of Ramayana – Ek Mahakatha – रामायण की 10 बातें

10 things of Ramayana – Ek Mahakatha – रामायण की 10 बातें

11 min read
0
0
261
कथा राम की

10 things of Ramayana – Ek Mahakatha

Ramayan, Ek Mahakatha – 10 things of Ramayana  – Ramayan ek vidwaan rishi jinka naam Valmiki tha ke dawaaraa likhi gyi ek mahakatha hai. Ramayana me bhagwaan Shri Ram ji ke jivan ke bare me vistaar me btaya gaya hai, jo hume btata hai ki ek layak aur samajhdar bete ko apne pita ke saath, ek bhai ko apne bhai ke sath aur ek pati ka apni patni ke sath kaisa vyavhaar aur rishta rakhna chahiye. Vaise to Ramayan ke baare me bahut si baatein hume pata hai, jaise hum aur aap ye jante hai ki Shri Ram, Ayodhya ke raja Dashrath ke putr the aur unki mata ji ka naam Kosalya tha, unke 3 bhai aur the aur vo vanvaas me gaye aur Sita haran hua fir Ram ji ne Ravan ko mara etc etc… Lekin, Ramayan ki kuch baate aisi bhi hai jo behad kam log hi jante hai.
photo of ramayan
Ramayan 10 Things in English
Ramayan ki 10 Ankahi-Ansuni Baatein

Abhi tak aapko lagta hoga, aapko Ramayan ke baare me bhut kuch pata hai lekin ab aapko shock lagne waala hai. Kyunki yha aapko kuch aisi baate pta chalne waali hai jin par yakeen karna ek baar to aapke liye muskil hoga, lekin fir aapko manna hi padega, kyunki ye sab baatein 100% sach hai. To chaliye dekhte hai, aisi kya baate hai..
Shri Ram Ki Ek Badi Behan Bhi Thi

Humne Ram, Lakhan, Bharat aur Saatrughan ke baare me suna hai par bhut hi kam log, jinhone puri Ramayan achi tarah se padhi hogi vo hi ye jante honge ki shri Ram ji ki ek badi behan bhi thi jinka naam SHANTA tha.
Ram’s elder sister


2. Ravan Ko 10 Sir Kaise Mile The

Ravan bhagwaan shiv ka bahut bada bhakt tha. Bhagwaan ki tapasya karte samay, usne apne sir ki bali de di. Ravan ka shradha bhaavdekh kar bahgwan Shiv ne khush ho kar Ravan ko uska sir wapis de diya. Ravan ne apne sir ki bali de di aur Shiv ji ne fir sir de diya. Aise baar baar Ravan sir ki bali deta aur uska ek naya sir aa jata, aisa ravan ne 10 baar kiya, aur akhir-kaar bhagwaan Shiv Ravan se bhut khush hokar Ravan ko uske 10 sir wapis kar diye. Is tarah Ravan dashanand (दशानंद) bana.
How Ravan Got 10 Heads
3. Lanka Ka Asali Raja Kuber Tha

Lanka nagri Shivji ne apni patni Parvati ke kahne par apne liye banwayi thi lekin Kuber ne Bholenath se vardan me Lanka maang li thi. Is tarah Lanka kuber ki ho gyi thi. Ravan Kuber ka sautela bhai (step-brother) tha aur usne Kuber se Lanka cheen li thi.
Original King of Lanka was Kuber
4. Laxman Shesh Naag Ke Avtaar The

Sabhi jaante hai ki bhagwaan Ram, bhagwaan Vishnu ke avtar the par bahut kam log jaante hai ki laxman ji shesh naag ke avtaar the.
Laxman was a spirit of Shesh Naag


5. 14 Saal Ke Vanvaas Me Laxman Ek Baar Bhi Nahi Soye The

Laxman ji 14 saal ke vanvaas (exile) me ek baar bhi nahi soye the. Laxman ne sone (sleep) ki devi ‘Nindra’ se vardan liya tha ki unhe 14 saal tak neend na aaye taki wo apne bade bhai Ram aur Sita ji ki sewa har pal kar sake.
Laxman Never Slept during 14 Years of Exile


6. Agale Janam Me Bali Ne Bhagwaan Krishan Ji Ko Mara Tha

Jara, jo bali ka agala janam tha, jara ne bhagwaan Krishan ji ko apne teer se mara tha, kyunki Ram avtar me Ram ji ne Bali ko dhokhe se maara tha.
Bali Killed Krishna in His Next Birth


7. Ram Ji Ki Wajah Se Laxman ki Marityu (Death) Hui Thi

Ek baar shri Ram Yumraj se mile, us samaye yumraj ji ne kaha tha ki agar koi yaha aa gaya to uski marityu (death) ho jayegi. Aur tabhi waha laxman ji aa gaye, ram ji ne vachan diya tha yumraj ko aur usi kaaran unki marityu huyi.
Laxman Died Because of Ram’s Words


8. Hanuman Ji Ko Bajrangbali Kyun Kehate Hai

Ek baar Mata Sita ne hanuman ji ke maathe par sindoor lagaya aur kaha isse Prabhu Shri Ram ji ka swasth (health) acha rahega aur lambi aayu (age) hogi. Ye sunte hi Hanuman ji ne apne pure badan (body) par sindoor laga liya, jisse Shri Ram ji hamesha surakshit (safe) rahe. Hindi me bajrang ko sindoor kaha jaata hai, aur isi karan tabse unka naam bajrangbali pada.
Ek Manyata ye bhi kahti hai ki – Ek bar Mata Sita sindur laga rahi thi to Hanuman ji ne pucha – “Maata aap roj apne mathe par sindoor kyu lagati hai?” to Mata Sita ne kaha – “Isse swami ki umar lambi hoti hai aur vo har tarah ke kasht se dur rahte hai.” Ye sun kar Shri Hanuman ji ne apne pure badan par sindur laga liya, tabse unhe Bajrang Bali kaha jaane laga.
Why Hanuman is Called Bajrangbali


9. Gilhari Ke Safed Dhariyan Kaise Padi

Jab sabhi Bandar (monkeys) ram setu bana rahe the, tab ek gilhari apni peeth par ret (sand) le kar setu nirman me sahyog kar rahi thi. Ye dekh kar sabhi Bandar hasane lag gaye par shri Ram ji ko gilhari ki nishtha (निष्ठा) behad pasand aayi aur unhone gilhari ko uthaya aur uske peeth ko sehalaya (सहलायाjiski wajah se gilhari ke safed dhariyan (lines) ban gayi.
How Squirrels got White Stripes


10. Surpnakha Ravan Ki Maut (death) Chahati Thi 

Ye bahut achambhit (shocking) hai par satya hai, Ravan ne Surpankha ke pati Dushtabuddhi ko yudh me maar diya tha jiski wajah se Surpnakha ne man hi man Ravan ko shraap (curse) diya tha ki Ravan ki marityu ka karan ek Stri (lady) hogi.
Surparnkha Wanted Ravan to Die



Aapko ye sab jaan kar ashcharya (आश्चर्य) jarur hua hoga, kyunki hum me se jyadatar logon ko in baaton ka pata nahi hota. Ab hume umeed hai Ramayan ke baad – Mahabharat Ki Ansuni-Ankahi Baatein bhi aapko itni hi interesting lagegi. Agar aapko upar share ki gyi jankari pasand aayi ho to please ise apne friends & family ke sath share kare aur comment jarur kare.

Load More Related Articles
Load More By amitgupta
Load More In TOP-10

Leave a Reply

Check Also

What is Account Master & How to Create Modify and Delete

What is Account Master & How to Create Modify and Delete Administration > Masters &…