Search

आत्मा क्या है और मन क्या है – what is soul and what is mind

AATMA KYA HAI AUR MANN KYA HAI?
aatmaaApne sare din ki batchit main manushya prati din na jane kitni bar “मैं ” sabd ka prayog karta hai. Parantu yah ek aascharya ki baat hai ki prati din मैं aur मेरा sabd ka anekanek bar prayog karne par bhi manushya yatharth rup me yah nahi janta ki मैं kahne wali satta ka swarup kya hai, artharth मैं sabd jiss wastu ka suchak hai, wah kya hai? Aaj manushya ne Science dwara badi-badi shaktishali chijen to bana di hai, usne sansar ke anek paheliyon ka uttar v jaan liya hai aur wah anya anek jatil samashyaon ka hal dhundh nikalne main khub laga hua hai. parantu मैं kahne wala kaun hai, iske bare main wah satyata ko nahi janta artharth wah swayam ko nahi pehchanta. Aaj kisi manushya ko pucha jaye ki – aap kaun hai?–  ya -aapka kya parichay hai?  to wah jhat apna sarir ka naam bata dega athwa jo dhanda wah karta hai wah uska naam bata dega. 
       wastav me मैं sabd sarir se bhinn chetan sattaaatma ka suchak hai. jaisa ki chitra main dikhaya gaya hai. Manushya, aatma aur sarir ko mila kar banta hai jisse hm (JIVAATMA) kehte hain.Jaise sarir 5 tatwo se bana hua hai(jal,wayu,agni,prithvi aur aakash) waise hi aatma mann, buddhi aur sanskarmay hoti hai. Aatma main hi vichar karne aur nirnay karne ki shakti hoti hai tatha wah jaisa karm karti hai ussi ke anusar uske sanskar bante hain.
aatmaaAatma ek chetan aur avinashi jyoti bindu hai jo ki manav deh main vrikuti main niwas karti hai. jaise ratri ko aakash me jagmagaya hua tara ek bindu sa dikhai deta hai, waise hi divya dristi dwara aatma v ek tare ki tarah hi dikhai deti hai.issiliye ik prasiddh padya me kaha gaya hai-vrikuti me chamakta hai ek ajab tara, garibam nuu sahiba lagda ae pyara .Aatma ka waas vrikuti main hone ke karan hi manushya gehrayi se sochte samay yahin hath lagata hai.Jab wah yah kehta hai ki mere to bhagya khote hain, tab v wah yahi hath lagata hai. Aatma ka yahan waas hone ke karan hi bhakt logon me yahan hi bindi aur tilak lagane ki pratha hai. Yahan aatma ka sambandh mastisk se juda hai aur mastisk kaa sambandh sare sarir main faile gyan tantuwon se hai. Aatma me hi pehle sankalp uthta hai aur phir mastisk tatha tantuwon dwara wyakt hota hai. Aatma hi shanti tatha dukh ka anubhav karti, tatha nirnay karti hai aur ussi me sanskar rehte hai. Isse yah sabit hota hai ki mann aur buddi aatma se alag nhi hai.Parantu aaj aatma khud ko bhulkar deh -purush, stri ,budha ,jawan etc maan bethi hai. Yah deh aviman hi dukh kaa karan hai. 
                                   
Iss rahashya ko motor ke driver ke udaharan dwara v darshaya gaya hai. Sarir motor ke saman hai aur aatma iska driver hai,aur jaise driver motor ka niyantran karta hai, ussi prakar aatma sarir ka niyantaran karti hai. Aatma k bina sarir nispran hai, jaise driver ke bina motor . Ab parampita parmatma kehte hain ki apne aap ko pehchan ne se hi manushya iss sarir rupi motor ko chala sakta hai aur apne lakshya(gantavya sthan) par pahunch sakta hai. Nahi to jaise ki driver car chalane me nipun naa hone k karan durghanta(accident) kaa sikar ban jata hai aur car aur uske yatriyon ko v चोट lagti hai, issi prakar jiss manushya ko apni pehchan nahi hai wah khud to dukhi aur ashant to hota hi hai, sath me apne sanpark me aane wale mitra-sanbandhiyon ko v dukh aur ashant bana deta hai. Av sacche sukh aur sacchi shanti k liye khud ko janna aati aawashyak hai.
Share this article :
Facebook
Twitter
LinkedIn

Leave a Reply

CALLENDER
September 2024
M T W T F S S
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  
FOLLOW & SUBSCRIBE