Kumar Vishwas – Andhere waqt mein bhi geet gate jayenge (कुमार विश्वास – अँधेरे वक्त में भी गीत गाये जायेंगे)
Kumar Vishwas
*****
Andhere waqt mein bhi geet gaate jaayenge
Pyar jab jism ki cheekho.n mein dafan ho jaaye
Odhani is tarah uljhe ki kafan ho jaaye
Odhani is tarah uljhe ki kafan ho jaaye
Ghar ke ehasaas jab baazaar ki sharto.n mein dhal jaaye
Ajnabi log jab hamraah ban ke saath chale
Ajnabi log jab hamraah ban ke saath chale
Labo.n se aasmaa.n tak sabki dua chuk jaaye
Bheed ka shor jab kaano ke paas ruk jaaye
Bheed ka shor jab kaano ke paas ruk jaaye
Sitam ki maari hui waqt ki in aankho.n mein
Nami ho laakh magar phir bhi muskuraayenge
Nami ho laakh magar phir bhi muskuraayenge
Andhere waqt mein bhi geet gaate jaayenge……
Log kahate rahe is raat ki subah hi nahi
Kah de suraj ki raushani ka tajurba hi nahi
Kah de suraj ki raushani ka tajurba hi nahi
Wo ladaai ko bhale aar paar le jaaye
Loha le jaaye wo lohe ki dhaar le jaaye
Loha le jaaye wo lohe ki dhaar le jaaye
Jiski chokhat se taraajoo tak ho girvi
Us adaalat mein hame baar baar le jaaye
Us adaalat mein hame baar baar le jaaye
Ham agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab
Ham ko kaagaz pe hara ke bhi haar jaayenge
Ham ko kaagaz pe hara ke bhi haar jaayenge
Andhere waqt mein bhi geet gaate jaayenge
Kumar Vishwas
<——Main to jhonka hoon hawa ka udaa le jaunga Main tumhe dhoondhne swarg ke dwar tak —–>
Collection of Kumar Vishwas Poetry and Muktak
*****
अँधेरे वक्त में भी गीत गाये जायेंगे
प्यार जब जिस्म की चीखों में दफ़न हो जाये
ओढ़नी इस तरह उलझे कि कफ़न हो जाये
ओढ़नी इस तरह उलझे कि कफ़न हो जाये
घर के एहसास जब बाजार की शर्तो में ढले
अजनबी लोग जब हमराह बन के साथ चले
अजनबी लोग जब हमराह बन के साथ चले
लबों से आसमां तक सबकी दुआ चुक जाये
भीड़ का शोर जब कानो के पास रुक जाये
भीड़ का शोर जब कानो के पास रुक जाये
सितम की मारी हुई वक्त की इन आँखों में
नमी हो लाख मगर फिर भी मुस्कुराएंगे
नमी हो लाख मगर फिर भी मुस्कुराएंगे
अँधेरे वक्त में भी गीत गाये जायेंगे…
लोग कहते रहें इस रात की सुबह ही नहीं
कह दे सूरज कि रौशनी का तजुर्बा ही नहीं
कह दे सूरज कि रौशनी का तजुर्बा ही नहीं
वो लडाई को भले आर पार ले जाएँ
लोहा ले जाएँ वो लोहे की धार ले जाएँ
लोहा ले जाएँ वो लोहे की धार ले जाएँ
जिसकी चोखट से तराजू तक हो उन पर गिरवी
उस अदालत में हमें बार बार ले जाएँ
उस अदालत में हमें बार बार ले जाएँ
हम अगर गुनगुना भी देंगे तो वो सब के सब
हम को कागज पे हरा के भी हार जायेंगे
हम को कागज पे हरा के भी हार जायेंगे
अँधेरे वक्त में भी गीत गाये जायेंगे…
*****